Search This Blog

Wednesday, March 2, 2011

Nostalgia of an average North Indian aged - above 35 years



Lai-Lappa,Gud ke Ladoo,Ganney ki Mithaas Kahan,
Mela Lagta Tha Har Saal Jahan,Ab Bacchon Ka Wo maidaan Kahan,
Any street side food was for 50 Paisa then
Chaaraaney mein Chand Khareedein,Aatthaaney mein suraj Lootein,
Pattey-Pattey rupiye jode,Par Khusiyon ka wo hisaaB Kahan,
getting wet in monsoons and making paper boats all thru the rains was so much fun then...

Garmi ki wo lambi Dopaherein,Raat Kahaani Ammi ki,
Baarish ab bhi hoti hai, Par Naaley ki wo Naav Kahan,

Sitting under the banyan tree, playing with friends, sleeping and generally having fun with friends and others was considered cool then....
Boodhey Bargad ki uss Chaanv Tale,Bachhpann ne kitne  khwaab buney,
Umr dhali aur Neend Uddi, Ab Sapno ka wo sansaar Kahan,

we slept outside at night and talked about stars and moon and listened to those stories and that was our adventure camp then...
Ghar Ki chhat par letey-letey,Fursat mein Gintey thay Taarey,
Ghar bhi Choota,Gaaon Bhi Choota,Taaron ki wo Baraat Kahan,
Sitting in sun and eating groundnuts, boiled potatoes and chatting with friends and family is what we did during winters and we never cared of suntan skin then....
Mehaki-Mehaki Baatein wo aag Sekte Rishton ki ,
Dhuaan Utthe har sardi mein, par Baaton ki wo Khusboo Kahan,
Flying kites through the day in hot sun and running after the cut kites for miles without caring about burnt feet or sun and we had no Reebok and Adidas shoes then...
Patangg Lootne ko pehle toh hum Meelon Bhaaga Kartey Thay,
Ab Chaar Kadam mein Yaar-Doston se Milne ki wo Fursat Kahan,

Playing marbles and other such street games was so much fun then... more then the current video games and yes, we would treasure the marbles we had won.
Jeb mein thi kannchon ki poonji,Mutthi mein mitti ki daulat,
Naam Bahut Kammaye lekin,Uss Jaisi ab Shohrat Kahan,

Sitting outside and drinking sugarcane juice.. the sweetest juice available - then there was no tropicana and etc etc brands then
Ek sawaal ke Sau Jawaab,Sab ek se ek thay Lajawaab
Bachhpan ke din Beet gaye,Ab Sau Sawaal Hain Jawaab Kahan,

  
going into orchards and plucking raw mangoes and eating them..... Sitting under mango tree and making stories and telling each other was a major past time for us then, who needed disney channel then....
Khattey Ber,Meethi Amiya,Pakti thi roz nayi Kahaaniyaan
Kehne ko ab 'Hum' Shaai'r Hain,Par Bacchpann si Koi Ghazal Kahan!!

by Mr Shaliesh Pratap Singh

1 comment:

shailesh pratap singh said...

Beautiful Deepti ji ..iam truly obliged ...Shabdon ne shakal ikkhtiyaar ki hai...ab shaklein bolenge bhi...geet bhi gaayengi..ghazal bhi likkhengi...Bhalei Chaaraane ki saansein hon aur aathaane ki zindagi...[Matlab ye saansein kitni bhi sasti ho...par zindagi chaar aane mehengi hi rahegi]...Iss liye jee lo ...bas ye poochna tha itna khoobsurat ...itna jaldi kaise mukkamall kiya !! love and God bless!!..Aap ke funkaari dekkh kar.Raahat indori Shaab ka ek sher yaad aa gaya "Meri shohrat kisi akbaar ka mohtaaj nahi...Log hoton pe sajaaye phirte hain mujhe'